Lyrics of Maa from movie:Taare Zameen Par
movie:Taare Zameen Par
Director:Amol Gupte
Producer:Aamir Khan
Singer:Shankar Mahadevan
Lyricis:Prasoon Joshi
Actor/Actoress:Aamir Khan, Tisca Chopra, Darsheel Safary, M. K. Raina
Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon maa
Tujhe sab hai pata hai na maa
Tujhe sab hai pata.. meri maa
Bheed mein yun na chhodo mujhe
Ghar laut ke bhi aana paoon maa
Bhej na itna door mujko tu
Yaad bhi tujhko aana paoon maa
Kya itna bura hoon main maa
Kya itna bura.. meri maa
Jab bhi kabhi papa mujhe
Jo zor se jhula jhulate hai maa
Meri nazar dhundhe tujhe
Sochu yahi tu aa ke thamegi maa
Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jata hoon maa
Chehre pe aane deta nahin
Dil hi dil mein ghabrata hoon maa
Tujhe sab hai Pata hai na maa
Tujhe sab hai Pata.. meri maa
Ho..main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main dikhlata nahin
Teri parwah karta hoon main maa
Tujhe sab hai pata hai na maa
Tujhe sab hai pata..meri maa
Filed under: Taare Zameen par, Hindi Songs |
No Responses to “Lyrics : ‘Pappu Can’t Dance’ of Jaane Tu Ya Jaane Na”
Please Wait
Leave a Reply